• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Azal-Ta-Abad

Azal-Ta-Abad

bashar-nawaz

ufuq-ta-ufuq ye dhundalke ka aalam

ye had-e-nazar tak

nam-alud si ret ka narm qalin ki jis par

samundar ki chanchal javan betiyon ne

kisi naqsh-e-pa ko bhi na chhoda

faza apne daman men bojhal khamoshi samete hai lekin

machalti hui mast lahron ke honton pe naghma hai raqsan

ye naghma suna tha mujhe yaad aata nahin kab

magar haan

bas ehsas hai is qadar qarna-ha qarn pahle

ki ginna bhi chahe to koi jinhen gin na paae

bhala reg-e-sahil ke phaile hue nanhe zarron ko koi kahan tak gine

machalti hui mast lahron ko sahil se chhutne ka gham hi nahin hai

vida-e-sukun jaise koi sitam hi nahin hai

jise qarna-ha-qarn pahle bhi main ne suna tha

jise log suraj ke bujhne talak yunhi sunte rahenge

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Ko Kisi Ki Rahguzar Kis Liye Karen

poet

Is Taraf Chashm-E-Iltifat Nahin

Koi Samjhao Dariya Ki Rawani kaTti Hai

Har Lamha Tha Sau Sal Ka Talta Bhi to Kaise

Kisi Patthar Ko Chaha Hai Ye Dil Kaisa Diwana Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet