aur to ḳhair kya rah gaya
haan magar ik ḳhala rah gaya
gham sabhi dil se ruḳhsat hue
dard be-intiha rah gaya
zaḳhm sab mundamil ho gae
ik daricha khula rah gaya
rang jaane kahan uḌ gae
sirf ik daagh sa rah gaya
arzuon ka markaz tha dil
hasraton men ghira rah gaya
rah gaya dil men ik dard sa
dil men ik dard sa rah gaya
zindagi se ta.alluq mira
TuuT kar bhi juḌa rah gaya
ham bhi aḳhir pasheman hue
aap ko bhi gila rah gaya
koi mehman aaya nahin
ghar hamara saja rah gaya
us ne pucha tha kya haal hai
aur main sochta rah gaya
jaam kya kya na ḳhali hue
dard se dil bhara rah gaya
kis ko chhoḌa ḳhizan ne magar
zaḳhm dil ka hara rah gaya
ye bhi kuchh kam nahin hai ki dil
gard-e-gham se aTa rah gaya
kaam ‘ajmal’ bahut the hamen
haath dil par dhara rah gaya
Leave a Reply