aur hi vo log hain jin ko hai yazdan ki talash
mujh ko insanon ki duniya men hai insan ki talash
main nahin kahta ki duniya men hai ulfat ki kami
mujh ko hai lekin isi jins-e-faravan ki talash
bar-e-ḳhatir hai hayat-e-pur-sukun o pur-jumud
main vo sahil huun jise rahti hai tufan ki talash
is jahan ko jab bana sakta hai vo rashk-e-iram
jaane kyuun insan ko hai firdaus-e-viran ki talash
ai sukun-e-jan mujhe aisi hi hai teri talab
chashm-e-nam ko jis tarah rahti hai daman ki talash
Leave a Reply