• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Asrar-E-Ishq Hai Dil-E-Muztar Liye Hue

Asrar-E-Ishq Hai Dil-E-Muztar Liye Hue

asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue

qatra hai be-qarar samundar liye hue

ashob-e-dahr o fitna-e-mahshar liye hue

pahlu men ya.ani ho dil-e-muztar liye hue

mauj-e-nashim-e-sub.h ke qurban ja.iye

aa.i hai bu-e-zulf-e-mo.ambar liye hue

kya mastiyan chaman men hain josh-e-bahar se

har shaḳh-e-gul hai haath men saghar liye hue

qatil nigah-e-yas ki zad se na bach saka

ḳhanjar the ham bhi ik tah-e-ḳhanjar liye hue

ḳhira kiye hai chashm-e-haqiqat-shanas bhi

har zarra ek mehr-e-munavvar liye hue

pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi

ham aaj tak vo choT hain dil par liye hue

tasvir hai khinchi hui naz-o-niyaz ki

main sar jhuka.e aur vo ḳhanjar liye hue

sahba-e-tund-o-tez ko saaqi sambhalna

uchhle kahin na shisha-o-saghar liye hue

main kya kahun kahan hai mohabbat kahan nahin

rag rag men dauḌi phirti hai nashtar liye hue

naam un ka aa gaya kahin hangam-e-baz-purs

ham the ki uḌ ga.e saf-e-mehshar liye hue

‘asghar’ harim-e-ishq men hasti hi jurm hai

rakhna kabhi na paanv yahan sar liye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Itni Hawa Na Waiz-E-Din-Dar Bandhiye

aamir-suhail

Kahaniyon Ne Zara Khinch Kar Badan Apne

poet

Bujhai Hai Teri Nazron Se Aksar Tishnagi Maine

Ilm Ko Apne Ba-Waqar Karo

hatim-ali-mehr

Us Zulf Ke Saude Ka Khalal Jae To Achchha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet