ashk aaya aankh men jalta hua
aaj soz-e-gham ka andaza hua
zindagi guzri ummid-o-yas men
dil kabhi gulshan kabhi sahra hua
zikr-e-zulf-e-yar rahne do abhi
mas.ala hai ziist ka uljha hua
ban gaya daman men vo aansu guhar
jo na meri aankh ka taara hua
barha ruk ruk ga.i nabz-e-jahan
husn ka jaadu hai kya chalta hua
gardishon se kya mujhe dega najat
jaam ḳhud gardish men hai aaya hua
dil vo kya jo gham se ho na-ashna
gham vo kya jis ka ki andaza hua
ham pareshan-hal ‘fazil’ se mile
hai tabi.at ka bahut suljha hua
Leave a Reply