• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Asar Aah Ka Gar dikhaenge Hum

Asar Aah Ka Gar dikhaenge Hum

meer-mehdi-majrooh

asar aah ka gar dikhaenge ham

abhi khinch kar tum ko laenge ham

zara rah tu ai dasht-e-avargi

tira khuub khaka udaenge ham

fasana tiri zulf-e-shab-rang ka

badhega jahan tak badhaenge ham

vahi dard-e-furqat vahi intizar

bhala mar ke kya chain paenge ham

vo gumrah ghairon ke hamrah hai

use raah par kyuun ki laenge ham

qafas se hua izn-e-parvaz kab

ye khvahish hi dil se udaenge ham

tilism-e-mohabbat hai ashiq ka haal

unhen bhi ye qissa sunaenge ham

vo nakhvat se hain asman se pare

kahan se unhen dhundh laenge ham

na kar aah ye shorish-afzaiyan

tujhe bhi kabhi azmaenge ham

na tutega sar-rishta-e-ikhtilat

vo khinchenge jitna badhaenge ham

ye maana ki ho rashk-e-hur-o-pari

magar adamiyat sikhaenge ham

hazar tir-e-mizhgan ki bochhad se

ye ik dil kahan tak bachaenge ham

hamen zahr-o-khanjar ki kyuun hai talash

shab-e-gham men kya mar na jaenge ham

na nikla koi dhab to ban kar ghubar

nazar men tumhari samaenge ham

kahan ghar men muflis ke farsh-o-farosh

vo aae to ankhen bichhaenge ham

tire qad se ki sarv ne ham-sari

use aaj sidha banaenge ham

nahin ghusl-e-mayyat ki ja qatl-gah

magar khak-o-khun men nahaenge ham

rah-e-ishq se na-balad hai abhi

khizar ko ye rasta bataenge ham

hua vasl bhi to maza kaun sa

vo ruthenge har dam manaenge ham

shab-o-roz dil ko kureden na kyuun

yahin se pata us ka paenge ham

abas hai ye ‘majruh’ tul-e-amal

bakhede ye sab chhod jaenge ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Furqat Ki Aafat Bure din Katna Sal Hai

obaidullah-khan-mubtala

Fariyaad Ki Wo Shokh Sitamgar Na Aaya

Main Likh Kar Ho Sakunga surKH-Ru Kya

Sab Thakan Aankh Mein simaT Jae

Ab Dil Ki Ye Shakl Ho Gai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet