Aql Ko chhoD Ishq Mein Aa Ja

aql ko chhoḌ ishq meñ aa jā

ḳhaam hai ishq suuñ jo koī lā jā

ishq-bāzī meñ dil ko rakh sābit

apnā ma.ashūq aap meñ pā jā

ishq kī raah meñ hai yak-rañgī

kyā vahāñ bādshāh kyā raajā

ishq kī raah meñ musāfir ko

āshiqāñ bolte haiñ jald jā jā

shah suuñ paayā hai jab visāl ‘alīm’

fauj-e-ushshāq meñ tabal baajā

Leave a Comment