apni marzi ka ruḳh main apna.un
kaash main bhi hava si ho ja.un
maan lena ke tum ḳhayal men ho
jab bhi main phuul jaisa muska.un
kya kaha tum pe main yaqin kar luun
ya.ani ik baar phir bikhar ja.un
ḳhvahishen to hazar kar luun main
kaash puuri bhi koi kar pa.un
chand bhi ja raha hai ab sone
main bhi ab thoḌi der so ja.un
Leave a Reply