apne aansu hain tumhare nahin ro sakta main
aaj ankhon se sitare nahin ro sakta main
ek taklif ka dariya hai badan men lekin
baiTh kar is ke kinare nahin ro sakta main
main huun majzub mire dil ki haqiqat hai alag
laakh hote hon ḳhasare nahin ro sakta main
jism hai ruuh ki hiddat men pighalne vaala
huun sharabor sharare nahin ro sakta main
main tamasha huun tamasha.i hain charon janib
sharm hai sharm ke maare nahin ro sakta main
bad-guman hone laga hai ye tayaqqun ka jahan
mujh ko afsos hai pyare nahin ro sakta main
zarre zarre men qayamat ka saman hai ‘sahil’
ek hi dil ke sahare nahin ro sakta main
Leave a Reply