andaz hu-ba-hu tiri avaz-e-pa ka tha
dekha nikal ke ghar se to jhonka hava ka tha
is husn-e-ittifaq pe lut kar bhi shaad huun
teri raza jo thi vo taqaza vafa ka tha
dil raakh ho chuka to chamak aur badh gai
ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha
is rishta-e-latif ke asrar kya khulen
tu samne tha aur tasavvur khuda ka tha
chhup chhup ke rouun aur sar-e-anjuman hansun
mujh ko ye mashvara mire dard-ashna ka tha
uttha ajab tazad se insan ka khamir
aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha
tuuta to kitne aina-khanon pe zad padi
atka hua gale men jo patthar sada ka tha
hairan huun ki vaar se kaise bacha ‘nadim’
vo shakhs to gharib o ghayur intiha ka tha
Leave a Reply