ana ko apne hi hathon se qatl kar jaata
agar main TuuT na jaata bikhar bikhar jaata
miri talash men nikli thi aftab ki fauj
jo main gupha se nikalta to aaj mar jaata
main jaan kar nazar-andaz kar gaya varna
tira libas sar-e-anjuman utar jaata
kahin se koi kiran hi na aa saki varna
ye tirgi ka khanDar raushni se bhar jaata
zamin hi mira rasta zamin hi manzil
zamin chhoḌ ke jaata to main kidhar jaata
vahan to ḳhud hi chaTaḳhne lagi hain divaren
agar vo aa.ina bante to main sanvar jaata
kuchh itne zor ka aaya tha zalzala kal raat
agar main jaag na jaata to ḳhvab mar jaata
kisi ka qarz hai mujh par ye janta huun magar
koi gavah na hota to main mukar jaata
Leave a Reply