alava jalva-e-ma.ani ke kul jahan dekha
jo chiiz dekhne ki thi use kahan dekha
chhupa.e rakha hamesha nigah-e-gulchin se
na dekhne ki tarah su-e-ashiyan dekha
ye yaad hai ki mulaqat to hui thi kahin
magar ye yaad nahin hai tumhen kahan dekha
qafas men niind bhi kaise fareb deti hai
khuli jo aankh to gulshan na ashiyan dekha
zamin ke zulm bhi bardasht ham ne hans ke kiye
tira bhi dabdaba ai jaur-e-asman dekha
hazaron zaḳhm the insaniyat ki mayyat par
tamam daman-e-fitrat ko ḳhun-chakan dekha
jo log hifz zaban ki zaban dete the
to ‘qaisar’ un ko hi gharat-gar-e-zaban dekha
Leave a Reply