ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin
jo yahan abad hain un par bhi ghar khulta nahin
raste kab gard ho jaate hain aur manzil sarab
har musafir par tilism-e-rahguzar khulta nahin
dekhne vaale taghaful kar-farma hai abhi
vo daricha khul gaya husn-e-nazar khulta nahin
jaane kyuun teri taraf se dil ko dhadka hi raha
is takalluf se to koi nama-bar khulta nahin
intizar aur dastakon ke darmiyan katti hai umr
itni asani se to bab-e-hunar khulta nahin
ham bhi us ke saath gardish men hain barson se ‘salim’
jo sitara saath rahta hai magar khulta nahin
Leave a Reply