axajiib vaqi.a tha us ko apne ghar laana
kabhi charagh uThana kabhi qamar laana
bayan-e-ijz men alfaz-e-mo’atabar laana
baḌa kamal duaon men hai asar laana
bahut hai aaj tamanna uḌaan bharne ki
qafas se ja ke hamare shikasta par laana
thake hue hain sabhi pa.emal rahon par
kahin se DhunD ke phir taaza rah-guzar laana
vo shoḳh rang ka shaida hai ye ḳhayal rahe
qarib aana to ḳhud ko lahu men tar laana
bas ek kaam hua ham se zindagi men ‘imam’
ayagh-e-umr sharab-e-ziyan se bhar laana
Leave a Reply