ajab sa vo irada kar raha hai
likhe auraq saada kar raha hai
ghazal men gholta hai ras labon ke
abhi tikhi ziyada kar raha hai
thi us ke haath men sandal si lakḌi
na jaane kyon burada kar raha hai
chhupane se nahin chhupta hai lahja
agarche vo irada kar raha hai
nahin ma-ba.ad ka chakkar nahin hai
faqat az.han taaza kar raha hai
Leave a Reply