ai sanam tujh ko ham bhula na sake
dil se dagh-e-vafa miTa na sake
allah allah us astan ki kashish
sar jhukaya to sar uTha na sake
miT ga.e shauq-e-did men lekin
aap jalva hamen dikha na sake
teri chahat men dard vo paaya
ham zamane men chain pa na sake
de ke dil tum ko jaan bhi de di
phir bhi apna tumhen bana na sake
jab se nisbat hui tire dar se
ham kisi dar pe sar jhuka na sake
ishq men ye ajab tamasha hai
un ko paaya to ḳhud ko pa na sake
aisi badli hava zamane ki
zaḳhm siine ke muskura na sake
tum ‘fana’ ki lahad pe ba.ad-e-fana
aa ke do phuul bhi chaḌha na sake
Leave a Reply