ai dost tu ne vaar ye bharpur kar diya
pahle qarib kar ke mujhe duur kar diya
rahti huun teri yaad men madhosh raat din
tere surur-o-kaif ne makhmur kar diya
kishmish si naznin thi shakh-e-badan miri
chahat ki ab-o-tab se angur kar diya
khushbu tire badan ki hai sanson men aaj tak
tu ne milan ke baad to pur-nur kar diya
tanhai zindagi ki kathin ho gai thi yaar
lams-o-surur bakhsh ke masrur kar diya
mujh ko sharab-e-ishq pila ne ki der thi
main ne bhi kaenat ko makhmur kar diya
malba tumhari yaad ka dhoya hai raat din
nazuk si ek ladki ko mazdur kar diya
deti hain mujh ko taane miri sab saheliyan
kahti hain tujh ko ishq ne maghrur kar diya
Leave a Reply