ahl-e-suḳhan bata.en mujhe martaba mira
ghalib ne aa ke ḳhvab men matl.a suna mira
aaya tha ghumne ke liye main to chaar din
kis ne bana diya hai yahan maqbara mira
phir muskura raha hai koi munh pe rakh ke haath
phir aazma raha hai koi hausla mira
tab mujh pe ye khula koi andar ki choT hai
jab aa.ine men aks bhi dhundla gaya mira
Leave a Reply