• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Agar Shama Hue to Gal Gae Hum

Agar Shama Hue to Gal Gae Hum

poet

agar sham.a hue to gal ga.e ham

jo parvana hue to jal ga.e ham

paḌe aa kar falak ke asiya men

misal-e-dana haa.e dal ga.e ham

kisi surat na paaya ham ne aram

yahan se vaan ke ta.iin be-kal ga.e ham

na yaan se le ga.e na vaan se laa.e

kaf-e-afsos nahaq mal ga.e ham

tilismat-e-jahan ka dekh zahir

taraf ma.ani ke ab ojhal ga.e ham

chale aa.e the tariki se lekin

pa chalte vaqt le mash.al ga.e ham

na aaya haath vo dair-o-haram men

mila jab dal ke dar-mandal ga.e ham

agar samjhoge ma.ani shaiḳh sahab

ga.e par tum ko kar qaa.el ga.e ham

rahega naam ‘afridi’ ka ta-hashr

hamen the jo ki la-ta.il ga.e ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Husn Hai Maghrur Dil Saudai Hai

zehra-nigaah

Tera Khayal Farozan Hai dekhiye Kya Ho

Jis Taraf Dekhiye Tufan Nazar Aane Lage

Ulfat Ka Anjam Bura Hai

poet

Mere Dil Ko Mohabbat KHub Garmae to Achchha Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet