kal bhi meri pyaas pe dariya hanste the
aaj bhi mere dard ka darman koi nahin
main is dharti ka adna sa baasi huun
sach puchho to mujh sa pareshan koi nahin
kaise kaise khvab bune the ankhon ne
aaj bhi un khvabon sa arzan koi nahin
kal bhi mere zakhm bhunae jaate the
aaj bhi mere haath men daman koi nahin
kal mera nilam kiya tha ghairon ne
aaj to mere apne beche dete hain
sach puchho to meri khata bas itni hai
main is dharti ka adna sa baasi huun
Leave a Reply