Ada-E-dil-Fareb-E-Sarw-Qamat

ada-e-dil-fareb-e-sarv-qamat

qayamat hai qayamat hai qayamat

shahid-e-khanjar-e-ulfat mua nahin

salamat hai salamat hai salamat

na karna ji kuun qurban tujh qadam par

nadamat hai nadamat hai nadamat

jamaat men pari-ruyon ki tujh kuun

imamat hai imamat hai imamat

‘siraj’ ab aish ke gulshan ka paani

malamat hai malamat hai malamat

Leave a Comment