abr huun aur barasne ko bhi tayyar huun main
tujh ko sairab karunga ki dhuan-dhar huun main
ab to kuchh aur hi ḳhatrat se do-char huun main
apne hi sar pe laTakti hui talvar huun main
tab main ik aankh tha jab to koi manzar bhi na tha
aaj tasvir hai to naqsh-ba-divar huun main
hijr ke ba.ad ke manzar ka kinaya huun koi
ik dhuan sa pas-e-divar-e-shab-e-tar huun main
mera sarmaya to bas manzar-e-be-manzari hai
shahr-e-be-aks ka ik a.ina-bardar huun main
Daal ke sar ko gireban men laraz uThta huun
muTThi-bhar ḳhaak nahin ek siyah ghaar huun main
dekh shamil hi nahin is men koi mere siva
dekh kis qafila-e-zat ka salar huun main
bas yahi hai mire hone ka javaz aur suragh
ik na hone se miyan bar-sar-e-paikar huun main
Leave a Reply