• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai

Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai

abhi mira aftab ufuq ki hudud se ashna nahin hai

miri bhi shab ki sahar hai lekin numud se ashna nahin hai

khule kisi ke shu.ur par to mujhe bhi us ka suragh de de

ki mera jauhar hunuz apne vajud se ashna nahin hai

ghazab hai fitrat ka dasht-o-kohsar men nava-e-sukut bharna

magar vo kya sun sakega jo is surud se ashna nahin hai

main kis guman par kahun zamane men mera aghaz ho chuka hai

ki mera lamha abhi tak apne varud se ashna nahin hai

ḳhabar nahin karobar-e-ulfat men ja rahi hai kidhar tabi.at

ziyan se rakhti nahin ta.aruf ki suud se ashna nahin hai

dila raha huun main us ko ehsas us ki pahli rafaqaton ka

jo aaj ‘iqbal’ meri bud-o-nabud se ashna nahin hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nahin Hai Yaad Ki Wo Yaad Kab Nahin Aaya

Main Jab chhoTa Sa Tha Kaghaz Pe Ye Manzar Banata Tha

Mujh Mein Tanhai Meri Aur Main Tanhai Mein

Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai

aftab-hussain

Ana Ko Bandhta Rahta Hun Apne Sheron Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet