Ab Wo Galiyan Wo Makan Yaad Nahin

ab vo galiyan vo makan yaad nahin

kaun rahta tha kahan yaad nahin

jalva-e-husn-e-azal the vo dayar

jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin

koi ujla sa bhala sa ghar tha

kis ko dekha tha vahan yaad nahin

yaad hai zina-e-pechan us ka

dar-o-divar-e-makan yaad nahin

yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar

shor-e-avaz-e-khizan yaad nahin

Leave a Comment