ab us ki yaad satane ko baar baar aae
vo zindagi jo tire shahr men guzar aae
ye bebasi bhi nahin lutf-e-ikhtiyar se kam
khuda kare na kabhi dil pe ikhtiyar aae
qadam qadam pe gulistan khile the raste men
ajiib log hain ham bhi ki su-e-dar aae
na chahchahe na surud-e-shaguftagi na mahak
kise ab aisi baharon pe e’tibar aae
junun ko ab ke gareban se kya milega ki ham
ba-faiz-e-mausam-e-gul pairahan utaar aae
tiri lagan ne zamane ki khaak chhanvai
tiri talab men tamam arzuen haar aae
ye fakhr kam to nahin ku-e-yar men ‘nikhat’
na sharmsar gae the na sharmsar aae
Leave a Reply