avaz apne dil ki huun bang-e-dara nahin
aa.e na mere paas jo dard ashna nahin
ghairon se bhi nibah tumhara na ho saka
kya ab bhi ye kahoge ki tum bevafa nahin
chehron pe iḳhtilaf sadaon men intishar
is shahr-e-sang-dil men koi ham-nava nahin
yuun gumrahi men aaj hai har shaḳhs mubtala
jaise zamane bhar men koi rahnuma nahin
manzil kidhar hai aur kidhar rasta ‘kamal’
vo kya bata.e jis ko ḳhud apna pata nahin
Leave a Reply