atish-e-soz-e-mohabbat ko bujha sakta huun main
dida-e-pur-nam se ik dariya baha sakta huun main
husn-e-be-parva tira bas ik ishara chahiye
meri hasti kya hai hasti ko miTa sakta huun main
ye to farma dijiye takmil-e-ulfat ki qasam
aap ko kya vaqa.i apna bana sakta huun main
ishq men roz-e-azal se dil hai paband-e-vafa
bhulne vaale tujhe kyunkar bhula sakta huun main
ham-nafas mutlaq bhi tufan-e-alam ka gham nahin
bahr ki har mauj ko sahil bana sakta huun main
baḳhsh di hain ishq ne is darja mujh ko himmaten
zaḳhm kha kar dil pe ‘qaisar’ muskura sakta huun main
Leave a Reply