aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai
rah jaun sun na kyunkar ye to buri sunai
majnun o kohkan ke sunte the yaar qisse
jab tak kahani ham ne apni na thi sunai
shikva kiya jo ham ne gaali ka aaj us se
shikve ke saath us ne ik aur bhi sunai
kuchh kah raha hai naseh kya jaane kya kahega
deta nahin mujhe to ai be-khudi sunai
kahne na paae us se saari haqiqat ik din
aadhi kabhi sunai aadhi kabhi sunai
surat dikhae apni dekhen vo kis tarah se
avaz bhi na ham ko jis ne kabhi sunai
qimat men jins-e-dil ki manga jo ‘zauq’ bosa
kya kya na us ne ham ko khoti-khari sunai
Leave a Reply