ariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gaiin
kufr ki gumrahiyan ham-rang-e-iman ho gaiin
zulf dekhi us ki jin qaumon ne vo kafir banin
rukh nazar aaya jinhen vo sab musalman ho gaiin
khud-faroshi husn ko jab se hui madd-e-nazar
nirkh-e-dil bhi ghat gaya janen bhi arzan ho gaiin
jo banain thiin kabhi aivan-e-kisra ka javab
gardish-e-aflak se gard-e-bayaban ho gaiin
khauf-e-nakami hai jab tak kamyabi hai muhal
mushkilen jab bandh gaiin himmat sab asan ho gaiin
haae kis ko roiye aur kis ki khatir pitiye
kaisi kaisi suraten nazron se pinhan ho gaiin
kya unhen andoh-e-hangam-e-sahar yaad aa gaya
shaam hi se bazm men shamen jo giryan ho gaiin
ik farishte bhi to hain jin ko na mehnat hai na ranj
khvahishen dil ki bala-e-jan-e-insan ho gaiin
kya hai vo jan-e-mujassam jis ke shauq-e-did men
jama-e-tan phenk kar ruhen bhi uryan ho gaiin
thi vo taufiq-e-ilahi main ne samjha apna feal
taaten bhi mere haq men ain isyan ho gaiin
Leave a Reply