aap ko mujh se ḳhafa mujh se ḳhafa dekhta huun
phuTti kyuun nahin ankhen miri kya dekhta huun
roz is ruuh ki viraniyan khil uThti hain
roz is dasht men ik abla-pa dekhta huun
gul khilate hain naya roz ye rishte-nate
roz hi ḳhuun ka ik rang naya dekhta huun
ek sach ye hai jo duniya ko baratne pe khula
ek sach vo jo kitabon men likha dekhta huun
aap hain sab se jo az-rah-e-zarurat hi mile
aur main aap men bhi ḳhu-e-vafa dekhta huun
aankh bhar kar main jise dekh na paaya tha ‘nadim’
ḳhud ko us ḳhvab ke malbe men daba dekhta huun
Leave a Reply