aap jo kuchh qarar karte hain
kahiye ham e’tibar karte hain
ye ki yaan main huun vaa.e un ka haal
mujh pe jo iftiḳhar karte hain
par farishte ke us jagah jal jaa.en
jis taraf ham guzar karte hain
go kuhan-dam hain ham ai sayyad
lek anqa shikar karte hain
si to lene do jeb naseh ko
ab ki ham taar taar karte hain
dil ki dil jaane ham to apna kaam
ab ke kheve men paar karte hain
gir raha hai ravaq-e-vahm ghafil
fikr-e-naqsh-o-nigar karte hain
sar gaya nama-bar ka vaan ai vaa.e
yaan qadam ham shumar karte hain
dil-tahi kya kare hai tiin pahlu
ham to aap hi kanar karte hain
chaliye qaa.em ki raftagan apna
der se intizar karte hain
Leave a Reply