Aansuon Ki Ek Chadar Tan Gai Hai

āñsuoñ kī ek chādar tan ga.ī hai

dekhne meñ raushnī hī raushnī hai

sūkhe patte sab ikaTThe ho ga.e haiñ

rāste meñ ek dīvār aa ga.ī hai

ġham kā relā zehn hī ko le uḌā hai

sochiye to āñdhiyoñ kī kyā kamī hai

chullū-chullū raushnī ko pī rahā huuñ

mauj-e-dariyā qatra qatra chāñdnī hai

raat meñ dhunkā huā sūraj paḌā thā

din meñ ‘mājid’ dhuup kaalī ho ga.ī hai

Leave a Comment