aansu bhi baha kar dekh liye soz-e-gham-e-pinhan kam na hua
dil men tiri ulfat ka sho.ala sho.ala hi raha shabnam na hua
duniya ki baharon men kho kar main apni nazar se chhup jaata
sad-shukr dil-e-agah mira dil ban gaya jam-e-jam na hua
tha dagh-e-tamanna ruh-shikan kuchh himmat-e-gham kaam aa hi ga.i
dil men to baḌe tufan uThe aansu na bahe matam na hua
ham shukr-e-sitam yuun karte hain jaise koi ne.amat mil jaa.e
lekin ye tira andaz-e-nazar nashtar hi raha marham na hua
bikhre hue tinke chun chun kar ta.amir nasheman kar to liya
ta.amir-e-nasheman se lekin ehsas-e-tabahi kam na hua
kaafi hai ‘faridi’ ko vo nazar jo marham-e-zaḳhm-e-hasti hai
tu ne jise apna gham baḳhsha phir us ko kisi ka gham na hua
Leave a Reply