ankhon se tiri zulf ka saaya nahin jaata
aram jo dekha hai bhulaya nahin jaata
allah-re nadan javani ki umangen!
jaise koi bazar sajaya nahin jaata
ankhon se pilate raho saghar men na daalo
ab ham se koi jaam uthaya nahin jaata
bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi
lekin koi ruthe to manaya nahin jaata
jis taar ko chheden vahi fariyad-ba-lab hai
ab ham se ‘adam’ saaz bajaya nahin jaata
Leave a Reply