ankhon se ḳhvab dil se tamanna tamam-shud
tum kya ga.e ki shauq-e-nazara tamam-shud
kal tere tishnagan se ye kya mo.ajaza hua
dariya pe honT rakkhe to dariya tamam-shud
duniya to ek barf ki sil se siva na thi
pahunchi dukhon ki aanch to duniya tamam-shud
shahr-e-dil-e-tabah men pahunchun to kuchh khule
kya bach gaya hai raakh men aur kya tamam-shud
ushshaq par ye ab ke ajab vaqt aa paḌa
majnun ke dil se hasrat-e-laila tamam-shud
ham shahr-e-jan men aḳhiri naghma suna chale
samjho ki ab hamara tamasha tamam-shud
ik yad-e-yar hi to pas-andaz hai ‘hasan’
varna vo kar-e-ishq to kab ka tamam-shud
Leave a Reply