ankhon ko naqsh-e-pa tira dil ko ghubar kar diya
ham ne vida-e-yar ko apna hisar kar diya
is ki chhuvan se jal utha mere badan ka rom rom
mujh ko to dast-e-yar ne jaise chinar diya
kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gaiin
dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya
ab ke to mujh pe is tarah saaqi hua hai mehrban
saare dukhon ko chuum kar mai ka khumar kar diya
maana sukhan tiri ata phir bhi kamal hai mira
main ne tire jamal ko rashk-e-bahar kar diya
mujh se gila baja magar tum bhi kabhi ye sochna
mujh ko ana ke rakhsh par kis ne savar kar diya
zulmat-e-hijr men sada us ne diya hai hausla
ab ke magar bujha diya us ne bhi haar kar diya
Leave a Reply