aankh tishna bhi nahin honT savali bhi nahin
ye surahi ki bhari bhi nahin ḳhali bhi nahin
ham saḳhi dirham-o-dinar liye phirte hain
shahr-e-nadar men ab koi savali bhi nahin
kyuun girane ke liye darpai azar hain log
ham ne buniyad makan ki abhi Daali bhi nahin
aisi makruh kahani ki ye tasvir hai jo
sunne vaali bhi nahin dekhne vaali bhi nahin
‘mohsin’-ehsan ka hai andaz-e-junun sab se alag
ye jalali bhi nahin hai ye jamali bhi nahin
Leave a Reply