aankh men ḳhvab nahin ḳhvab ka saani bhi nahin
kunj-e-lab men koi pahli si kahani bhi nahin
DhunDhta phirta huun ik shahr-e-taḳhayyul men tujhe
aur mire paas tire ghar ki nishani bhi nahin
baat jo dil men dhaḌakti hai mohabbat ki tarah
us se kahni bhi nahin us se chhupani bhi nahin
ankh-bhar niind men kya ḳhvab sameTen ki abhi
chandni-rat nahin rat-ki-rani bhi nahin
laili-e-husn zara dekh tire dasht-nazhad
sar-ba-sar ḳhaak hain aur ḳhaak uḌani bhi nahin
kachche indhan men sulagna hai aur is shart ke saath
tez karni bhi nahin aag bujhani bhi nahin
ab to yuun hai ki tire hijr men rone ke liye
aankh men ḳhuun to kya ḳhuun sa paani bhi nahin
Leave a Reply