aankh bhar aa.i kisi se jo mulaqat hui
ḳhushk mausam tha magar TuuT ke barsat hui
din bhi Duuba ki nahin ye mujhe ma.alum nahin
jis jagah bujh ga.e ankhon ke diye raat hui
koi hasrat koi arman koi ḳhvahish hi na thi
aise aalam men miri ḳhud se mulaqat hui
ho gaya apne paḌosi ka paḌosi dushman
adamiyyat bhi yahan nazr-e-fasadat hui
isi honi ko to qismat ka likha kahte hain
jitne ka jahan mauqa.a tha vahin maat hui
is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile
aur javani men buḌhape se mulaqat hui
Leave a Reply