diye abhi nahin jale
darakht badhti tirgi men chhup chale
parind qafilon men dhal ke ud chale
hava hazar marg-e-arzu ka ek gham liye
chali pahadiyon ki samt rukh kiye
khule samundaron pe kashtiyon ke badban khule
savad-e-shahr ke khandar
gae dinon ki khushbuon se bhar gae
akeli khvab-gah men
kisi hasin-nigah men
alam men lipti chahaten varud-e-shab se jaag uthin
hai dil ko bekali siyah raat aaegi
jilau men dukh ki laag ko liye hue
nagar nagar pe chhaegi
Leave a Reply