aaj tujhe kyuun chup si lagi hai
kuchh to bata kya baat hui hai
aaj to jaise saari duniya
ham donon ko dekh rahi hai
tu hai aur be-khvab dariche
main huun aur sunsan kali hai
khair tujhe to jaana hi tha
jaan bhi tere saath chali hai
ab to aankh laga le ‘nasir’
dekh to kitni raat gai hai
Leave a Reply