aaj bhi mushkilat kam to nahin
barish-e-hadsat kam to nahin
ek suraj ghurub hone se
raunaq-e-ka.enat kam to nahin
kyuun shikayat hai mausam-e-gul se
shaḳh par phul-pat kam to nahin
umr bhar ki rafaqaton ke ba.ad
hijr ki ek raat kam to nahin
us ki marzi se chaar din jiina
is qadar bhi hayat kam to nahin
main tiri zaat hi ka hissa huun
mujh men teri sifat kam to nahin
vaqt se kya gila karun ‘shahid’
vaqt ka iltifat kam to nahin
Leave a Reply