aa.iin kyon hichkiyan nahin malum
kaun hai mehrban nahin malum
ḳhud-baḳhud jhuk ga.i jabin-e-shauq
kis ka tha astan nahin malum
be-ḳhudi men baḌha raha huun qadam
ja raha huun kahan nahin malum
sakin-e-arsh tha kabhi main bhi
kaise aaya yahan nahin malum
ja raha huun ghubar ke pichhe
hai kahan karvan nahin malum
yaad itna hai barq chamki thi
kya hua ashiyan nahin malum
kahte kahte fasana gham ka ‘sa.id’
ruk ga.i kyon zaban nahin malum
Leave a Reply