aghaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani men vo naam nahin hota
jab zulf ki kalak men ghul jaae koi raahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota
hans hans ke javan dil ke ham kyuun na chunen tukde
har shakhs ki qismat men inaam nahin hota
dil tod diya us ne ye kah ke nigahon se
patthar se jo takrae vo jaam nahin hota
din duube hai ya duubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota
Leave a Reply