• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aage Harim-E-Gham Se Koi Rasta Na Tha

Aage Harim-E-Gham Se Koi Rasta Na Tha

ada-jafarey

aage harim-e-gham se koi rasta na tha

achchha hua ki saath kisi ko liya na tha

daman-e-chak chaak gulon ko bahana tha

dil ka jo rang tha vo nazar se chhupa na tha

rang-e-shafaq ki dhuup khili thi qadam qadam

maqtal men subh-o-sham ka manzar juda na tha

kya bojh tha ki jis ko uthae hue the log

mud kar kisi ki samt koi dekhta na tha

kuchh itni raushni men the chehron ke aaine

dil us ko dhundhta tha jise janta na tha

kuchh log sharmsar khuda jaane kyuun hue

apne siva hamen to kisi se gila na tha

har ik qadam utha tha nae mausamon ke saath

vo jo sanam tarash tha but pujta na tha

jis dar se dil ko zauq-e-ibadat ata hua

us astan-e-shauq pe sajda rava na tha

andhi men barg-e-gul ki zaban se ada hua

vo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

meer-mehdi-majrooh

Hum Apna Jo Qissa Sunane Lage

abdul-hamid-adam

Ab Bhi Sazon Ke Tar Hilte Hain

Abhi to Mausam-E-Na-KHush-Gawar Aaega

poet

Tumhaara Husn Jo Mahdud-E-La-Makan Hota

Is Haal Mein Jite Ho to Mar Kyun Nahin Jate

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet