aa.e kya tera tasavvur dhyan men
kuchh se kuchh hai aan hi ki aan men
yaan isharat-e-ghalat par zindagi
vaan ada hai aur hi saman men
tegh-e-qatil hai rag-e-gardan miri
ab-e-paikan dam tan-e-be-jan men
ya to qatil ho gaya rahm-ashna
ya paḌe honge kahin maidan men
ashk apne phir phira kar har taraf
aa.e aḳhir tere hi daman men
haa.e kaise kaise varasta-mizaj
sar-nigun dam band hain zindan men
ka.aba ankhon men samata hi nahin
kya buton ne kah diya kuchh kaan men
aankh ke uThte hi uThte kuchh na tha
ham chale arman hi arman men
dair-o-ka.aba par nahin mauquf kuchh
aur hi kuchh shaan hai har shaan men
girya-e-sad-sirri aur ham kam-hausla
kashti apni aa ga.i tufan men
jannat o dozaḳh se kya ummid-o-bim
hasraten si hasraten hain jaan men
ḳhud-parasti aur islam-afrin
ka.aba-e-ashiq hai kufristan men
ai ‘qalaq’ kal tak gada-e-dair the
aaj da.ave ho ga.e iman men
Leave a Reply