adab-e-ashiqi se begana kah rahi hai
meri nazar mujhi ko divana kah rahi hai
har ah-e-sirr-e-paiham dil se nikal nikal kar
dil ki tabahiyon ka afsana kah rahi hai
is darja hai musallat divangi ka aalam
divangi bhi mujh ko divana kah rahi hai
ye inqilab-e-dauran ye aish-o-gham ke unvan
goya zaban-e-fitrat afsana kah rahi hai
meri zaban unhin se un ke sitam ka qissa
yuun dab ke kah rahi hai goya na kah rahi hai
ai barq-e-fitna saman unvan taaza koi
ye kya suna sunaya afsana kah rahi hai
huun zinda ik muraqqaa main surat-afrin ka
duniya ‘shakil’ mera afsana kah rahi hai
Leave a Reply