zindagi chain pa nahin sakti
maut ko maut aa nahin sakti
phunk sakti hai barq gulshan ko
phuul is men khila nahin sakti
toḌ deti hai maut saz-e-hayat
lekin is ko baja nahin sakti
tum na chaho to ye nasim-e-bahar
gul chaman men khila nahin sakti
zindagi laakh tabdar sahi
maut ki taab la nahin sakti
ham pe hansna to us ko aata hai
ham ko duniya hansa nahin sakti
ham se insan kahan milenge use
ham ko duniya bhula nahin sakti
Leave a Reply