ḳhud apne zaḳhm siina aa gaya hai
bil-aḳhir mujh ko jiina aa gaya hai
munafiq ho ga.e hain honT mere
mire dil ko bhi kiina aa gaya hai
baha kar le gaya tufan javani
lab-e-sahil safina aa gaya hai
kisi dukh par bhi ankhen nam na pa kar
masa.ib ko pasina aa gaya hai
baḌi ustad hai ye zindagi bhi
lo mujh ko zahr piina aa gaya hai
laga kar zaḳhm ḳhud marham bhi dega
use itna qarina aa gaya hai
hare hone chale hain zaḳhm saare
ki savan ka mahina aa gaya hai
Leave a Reply