jahilon ko salam karna hai
aur phir jhuT-muT Darna hai
kaash vo raste men mil jaa.e
mujh ko munh pher kar guzarna hai
puchhti hai sada-e-bal-o-par
kya zamin par nahin utarna hai
sochna kuchh nahin hamen filhal
un se koi bhi baat karna hai
bhuuk se Dagmaga rahe hain paanv
aur bazar se guzarna hai
Leave a Reply